• Bhagat Singh Aur Durga: Lahore Mein Police Se Samna | Fever Stories #AzadHind #TirangeKiZubaani
    2025/08/18
    January 1925… ek taraf Mahatma Gandhi ji ki tabiyat bigad rahi thi, operation aur British sarkar ke dabav ke beech unki zindagi ek nayi raah par khadi thi. Aur doosri taraf… Chandrashekhar Azad, Ramprasad Bismil aur Bhagwati Charan Bohra jaise krantikari, jahan ek chhat ke neeche Durga Bhabhi apne balidaan aur sahas se is andolan ko aur mazboot bana rahi thi. Is episode mein, aap sunenge kaise ek chhoti si mulaqat, ek police raid, aur ek aurat ka tyag, azaadi ki jang ko ek nayi disha deta hai. Yeh kahani hai dosti, vishwas aur kurbani ki… jahan har saans sirf Bharat Mata ke liye li ja rahi thi. Suno Azad Hind: Tirange Ki Zabaani, ek kahani jo aapko 1925 ke un dino mein le jaayegi.
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Bhagat Singh: Veer Ras Aur Azaadi
    2025/08/18
    Bhagat Singh… ek naam jo azaadi ki jung ka prateek tha, lekin har jung ke peeche ek insaan bhi chhupa tha, jo jazbaat, himmat aur wafadari se bhara tha. Is episode mein, aap sunenge kaise Bhagat Singh ne apne saathi Sukhdev ke saath milkar dushmano ka samna kiya, kaise ek anjaan shakhs ke zariye jeevan aur maut ke beech ka imtihaan diya, aur kaise Commander Chandrashekhar Azad ki raah par chal kar kranti ke mission ko aage badhaya. Har kadam par mushkilein, khatar aur chhupi hui saazishen thi, lekin Bhagat Singh ne apne jazbe aur deshbhakti se har chunauti ka samna kiya. Kya Bhagat Singh aur uske saathi apne mission mein safal honge aur azaadi ka sapna poora kar paayenge? Suno Azad Hind: Tirange Ki Zabaani, ek kahani jo aapke dil ko chhoo legi.
    続きを読む 一部表示
    12 分
  • Jab Desh Bhagat Singh Ke Liye Sadkon Par Utar Aaya | Azad Hind #indianhistory #indianfreedomstruggle
    2025/08/15
    Is episode mein aap dekhenge ek jazbaati aur dil ko chhu lene wala drishya, jisme Bhagat Singh ke faansi ki khabar ne poore Hindustan ko hila diya. Sadkon par logon ka samundar, haathon mein tirange, aankhon mein aansu, aur dilon mein ek hi awaaz : “Ye anyay hai, ise roka jaana chahiye!” Har gali aur bazaar mein gusse ka toofan tha. Bhagat Singh ab sirf ek insaan nahi, balki ek soch, ek junoon, ek kranti ki awaaz ban chuke the. Yeh kahani aapko us waqt ke junoon, dard aur ekjut awaazon ke beech le jaayegi. Kya logon ka yeh andolan unke faisle ko badal paayega? Ya azaadi ke is sipaahi ko apni antim kurbani deni padegi?
    続きを読む 一部表示
    10 分
  • Kya Kranti Ka Rang Lahu Mein Rang Jayega?| Mission On The Bullet | 15 August #indianfreedomstruggle
    2025/08/15
    Azadi ka rang sirf tirange mein nahi… kuchon ke lahu mein bhi tha. "Mission On The Bullet" — ek kahani jo dosti, wafadari, aur kranti ke jazbe ko ek saath le aati hai. Is Independence Day special episode mein dekhiye kaise Bhagat Singh, Sukhdev aur Yashpal apne saathiyon ko bachane ke liye maut se bhi takra gaye. Police gherabandi, goliyon ki goonj, aur ek sapna jo sirf azadi ke liye tha… lekin kya yeh sapna poora hua, ya lahu ke rang mein doob gaya? 15 August 2025 par, dobara mehsoos kijiye woh jazba jo British hukumat ko hila gaya tha. 🎧 Suniye Bhagat Singh ki asli kahani, unke doston ki be-misaal wafadari, aur unki kurbani jo aaj bhi dilon mein zinda hai. 📍 Only on Fever Stories – Azad Hind Series ✊ Hindustan Zindabad!
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Azadi Aur Ishq Ke Beech Ka Safar – Bhagat Singh Aur Preet
    2025/08/14
    Bhagat Singh… ek naam jo sirf kranti ka prateek nahi, balki ek insaan ka dil bhi rakhta tha. Is episode mein suno kaise bachpan ki dost Preet ke saath ek chhed-chhad se shuru hui kahani, ek jazbaati mod le leti hai. Pyaar, hasi-mazaak aur azadi ke liye ladai, sab kuch ek hi kahani mein. Aur phir aata hai woh pal jab dosti, mohabbat aur kranti ke beech ka farq dhundhla ho jaata hai. Kya Bhagat Singh apni ladayi aur apne dil dono jeet payega? #BhagatSingh #AzadHind #TirangeKiZubaani #BhagatSinghKiKahani #IndianHistory #IndependenceDay2025 #Deshbhakti #FreedomFighter #Kranti #VeerBhagatSingh #BharatMataKiJai #IndianIndependence #ShaheedBhagatSingh #HindustanZindabad #AzadiKaAmritMahotsav #PatrioticStories Suno Azad Hind: Bhagat Singh Ki Kahani – Tirange Ki Zabaani.
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Ghar Aaya Bhagat Singh… Par Kya Ye Uska Aakhri Pal Tha? #azadikasafar #independence
    2025/08/14
    Bhagat Singh jab ek saal baad ghar aata hai, maa ki god, maa ke haath ka khana aur bachpan ki yaadein sab wapas aa jaati hain. Lekin ghar ke andar chal rahi baatein, ek khubsurat ladki ki nazar, aur police ka khatra — yeh sab mila kar uski zindagi ko ek naya mod dete hain. Aakhir kya hone wala hai? Suno "Azad Hind: Bhagat Singh Ki Kahani" ka yeh dil छू लेने वाला kissa. #BhagatSingh #AzadHind #BhagatSinghStory #IndianHistory #IndependenceMovement #Revolutionary #HistoricalStories #FreedomFighter #DeshBhakti #TirangeKiZubani #VeerBhagatSingh #IndianLegends #HindustanKiKahani #ShaheedBhagatSingh
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Jab Lala Lajpat Rai Se Bhagat Ka Hua Samna I The Bhagat Singh Story #independenceday
    2025/08/13
    Iss episode me suniye 1924 ki us gupt meeting ki kahani, jahan Bhagat Singh, Sukhdev, Bhagwati Bhai aur naye krantikari Yashpal Sharma ne Azadi ki ladai ko teen hisson me baantkar strategy banayi — Jaagrukta, Prachar aur Pratyaksh Andolan. College ke students se lekar mazdoor-kisaan tak, sabko kranti ke raaste par lane ka sankalp liya gaya. Isi dauran Punjab Kesari Lala Lajpat Rai se hui mulaqat ne mahaul ko aur garma diya. Lekin kahani tab mod leti hai jab Bhagat Singh ki nazar ek rahasyamayi shaks par padti hai, jo shayad aane wale khatre ka sanket tha. Kranti ki iss dilchasp kadi me jaaniye, aage Bhagat Singh ki zindagi kaunsa naya mod lene wali hai. #AzadHind #BhagatSingh #Revolution #FreedomStruggle #HindiPodcast #FeverStories #IndianHistory #Krantikari #TrueStory #InquilabZindabad #DeshBhakti
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Naye Comrade Bhagat Singh Se Pehli Mulaqat | Azad Hind | Fever Stories
    2025/08/12
    1920s ke inquilabi daur mein, Sukhdev milta hai apne adarsh Ramprasad Bismil aur naye comrade Bhagat Singh se. Rasgullon ke beech banti hai ek secret strategy – jagrukta, prachar aur pradarshan ka. Bhagat ka iraada: sirf jagana nahi, balki dilon mein kranti ke angare bhar dena. #BhagatSingh #AzadHind #FeverStories #IndianFreedomStruggle #RamprasadBismil #Sukhdev #InquilabZindabad #Kranti #FreedomFighter #HistoricalPodcast
    続きを読む 一部表示
    11 分