『AZAD HIND: The Bhagat Singh Story | India's Fight for Freedom』のカバーアート

AZAD HIND: The Bhagat Singh Story | India's Fight for Freedom

AZAD HIND: The Bhagat Singh Story | India's Fight for Freedom

著者: HT Smartcast Originals
無料で聴く

このコンテンツについて

Bharat ki azaadi ki ladai ke ek amar krantikari ki kahani, ab sunayi jaayegi Tirange ki zabaani. Tayyar ho jaiye Azad Hind ke naye season ke liye “Bhagat Singh Ki Kahani Tirange Ki Zubaani”, jahan hum lekar aa rahe hain ek aisi kahani jo sirf itihas nahi, ek jazba hai. Is season mein aap sunenge Bhagat Singh ke bachpan se lekar unke krantikari banne tak ka safar, unki soch, unka junoon, unka balidan, aur un palon ko, jinhone ek yuva ko legend bana diya. Aur in kahaniyon ko apni aawaaz se aur bhi jeevant banayenge Ashutosh Rana, jinke zabardast narration ke saath aap mehsoos karenge har ek jazba, har ek kurbani. Yeh sirf ek kahani nahi, yeh hai ek aisa safar jo aapko garv se bhar dega, aur ek naye nazariye se Bhagat Singh ko samajhne ka mauka dega.Fever Stories 世界 戯曲・演劇 社会科学
エピソード
  • Bhagat Singh Aur Durga: Lahore Mein Police Se Samna | Fever Stories #AzadHind #TirangeKiZubaani
    2025/08/18
    January 1925… ek taraf Mahatma Gandhi ji ki tabiyat bigad rahi thi, operation aur British sarkar ke dabav ke beech unki zindagi ek nayi raah par khadi thi. Aur doosri taraf… Chandrashekhar Azad, Ramprasad Bismil aur Bhagwati Charan Bohra jaise krantikari, jahan ek chhat ke neeche Durga Bhabhi apne balidaan aur sahas se is andolan ko aur mazboot bana rahi thi. Is episode mein, aap sunenge kaise ek chhoti si mulaqat, ek police raid, aur ek aurat ka tyag, azaadi ki jang ko ek nayi disha deta hai. Yeh kahani hai dosti, vishwas aur kurbani ki… jahan har saans sirf Bharat Mata ke liye li ja rahi thi. Suno Azad Hind: Tirange Ki Zabaani, ek kahani jo aapko 1925 ke un dino mein le jaayegi.
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Bhagat Singh: Veer Ras Aur Azaadi
    2025/08/18
    Bhagat Singh… ek naam jo azaadi ki jung ka prateek tha, lekin har jung ke peeche ek insaan bhi chhupa tha, jo jazbaat, himmat aur wafadari se bhara tha. Is episode mein, aap sunenge kaise Bhagat Singh ne apne saathi Sukhdev ke saath milkar dushmano ka samna kiya, kaise ek anjaan shakhs ke zariye jeevan aur maut ke beech ka imtihaan diya, aur kaise Commander Chandrashekhar Azad ki raah par chal kar kranti ke mission ko aage badhaya. Har kadam par mushkilein, khatar aur chhupi hui saazishen thi, lekin Bhagat Singh ne apne jazbe aur deshbhakti se har chunauti ka samna kiya. Kya Bhagat Singh aur uske saathi apne mission mein safal honge aur azaadi ka sapna poora kar paayenge? Suno Azad Hind: Tirange Ki Zabaani, ek kahani jo aapke dil ko chhoo legi.
    続きを読む 一部表示
    12 分
  • Jab Desh Bhagat Singh Ke Liye Sadkon Par Utar Aaya | Azad Hind #indianhistory #indianfreedomstruggle
    2025/08/15
    Is episode mein aap dekhenge ek jazbaati aur dil ko chhu lene wala drishya, jisme Bhagat Singh ke faansi ki khabar ne poore Hindustan ko hila diya. Sadkon par logon ka samundar, haathon mein tirange, aankhon mein aansu, aur dilon mein ek hi awaaz : “Ye anyay hai, ise roka jaana chahiye!” Har gali aur bazaar mein gusse ka toofan tha. Bhagat Singh ab sirf ek insaan nahi, balki ek soch, ek junoon, ek kranti ki awaaz ban chuke the. Yeh kahani aapko us waqt ke junoon, dard aur ekjut awaazon ke beech le jaayegi. Kya logon ka yeh andolan unke faisle ko badal paayega? Ya azaadi ke is sipaahi ko apni antim kurbani deni padegi?
    続きを読む 一部表示
    10 分
まだレビューはありません