エピソード

  • Azaadi Ki Pehli Ladai Ka Amar Krantikari
    2025/01/27
    Mangal Pandey ka naam Bharat ke itihaas me hamesha amar rahega. Ek sipahi jisne apni dharti aur dharm ke liye Firangiyon ke khilaf awaz uthai aur pehla swatantrata sangram shuru kiya. Court martial se lekar phaansi tak, unka har kadam ek kranti ka sandesh tha. Ashutosh Rana ki awaaz me suniye Bharat ke pehle krantikari ki kahani jo deshbhakti aur balidan ka prateek hai. Kranti ki aag, jo Barakpur se shuru hui, Bharat ke kone kone me fail gayi. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    8 分
  • Kranti Ki Mashaal
    2025/01/27
    Ek aag jo Mangal Pandey ne lagai, usne puri Bharat bhoomi ko ek kranti ke rang me rang diya. Meerut se lekar Dilli tak, Awadh se Kanpur tak, har ek sipahi ne Firangiyon ke khilaf apni awaaz uthai. Bahadur Shah Zafar ko Bharatiya samrat ghoshit karna aur Bharat ke har kone me kranti ki mashaal ko jagana, is gatha ka har pal aapko apne moolyon se jod dega. Suno Ashutosh Rana ki awaaz me ek amar kahani jo sirf ek sipahi ki nahi, balki Bharat ke pehle swatantrata sangram ki hai. Ye kahani hai deshbhakti ki, kranti ki, aur azaadi ki pehli mashaal ki. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    7 分
  • Azadi ki roshni ab bujne nahi wali
    2025/01/27
    Suno Mangal Pandey ki veer gatha, ek aise sipahi ki kahani jo Firangiyon ke samne na jhuka, na hi kabhi dara. Mangal Pandey ka vachan, "Azaadi ki jo roshni jal chuki hai, woh kabhi bujne nahi denge," aaj bhi Bharat ke itihaas mein amarna hai. Is episode mein suniye kaise Mangal Pandey ne apne jaan ki parwah kiye bina Firangiyon ka saamna kiya aur ek azaadi ke kranti ki mashaal jala di. Ashutosh Rana ki damdaar awaaz mein, Mangal Pandey ke kranti ka har woh mod samajhiye jo 1857 ki Kranti ke itihas ko amar banata hai. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    7 分
  • Pehli Aandhi, Firangi Ke Khilaf
    2025/01/27
    Is episode mein suniye kaise Mangal Pandey ne angrezi cartoos ke virodh mein apna aakrosh dikhaya aur Firangi Sergeant Major Hussain ko unki galtiyon ki saza dene ka sankalp liya. Ashutosh Rana ki awaaz mein, jaaniye ek sipahi ke shaurya aur Bharat ke azaadi ke liye pehle kadam ke baare mein. May 31, 1857 ki gopniya yojnaon se lekar, Barakpur Chawni mein angreziyon ke atyacharon ke virodh tak, har pal aapko Bharat ke itihaas ke ek naye rang mein le jayega. Yeh kahani hai Mangal Pandey ke diler faislon ki aur Bharat ke logon ke ekta aur sangharsh ki. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    5 分
  • Nana Saheb Aur Mangal Pandey: Ek Nayi Kranti
    2025/01/27
    Ashutosh Rana ki awaaz mein, jaaniye kaise Barakpur ke sipahiyon ne angrezi Kartoos ka virodh kiya aur Mangal Pandey ne apni jaan ki baazi laga kar poore desh ko jagrit kiya. Mangal Pandey ne ek aise prathamik jang ka aakhri kadam uthaya, jo angrezon ke kabze ko hila kar rakh diya. Is episode mein, aapko Azimullah aur Rangobapu ki chhupi hui yojnaon ke baare mein bhi jaanne ko milega, jo apne apne tareekon se yeh jang ko safaltapoorvak aage badha rahe the. Nana Saheb ki puri ranneeti aur unka is kranti mein yogdan bhi khul kar samne aayega. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    8 分
  • Ek Sipahi Jo Ban Gaya Kranti Ka Nayak
    2025/01/27
    Ashutosh Rana ki awaaz mein, suniye 1857 ki Kranti ke pratham veer, Mangal Pandey, ki kahani, jo Bharat ke itihas mein ek nayi subah ka aaghaz ban gayi. Yeh kahani shuru hoti hai Bairakpur Chhavni se, jahan East India Company ke naye kartoos sipahiyon ke liye maut ka paigam ban gaye. Naye kartooson mein gai aur suar ki charbi ka istemal hota tha, jo Hindu aur Muslim dharm ke sipahiyon ke liye apmaan ki baat thi. Jab yeh baat Mangal Pandey aur unke saathiyon tak pahunchi, unhone is atyachar ka khul kar virodh karne ka faisla kiya. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    7 分
  • Azadi Ki Pehli Chingari
    2025/01/27
    Ashutosh Rana ki awaaz mai suniye Mangal Pandey ki kahani, jo 1857 ki Kranti ka pratham veer tha. Mangal Pandey ne apni jaan ki balidan dekar apne sapne ko sach kiya – apne desh ki azaadi ki ladai ki shuruat ki. Jab poora desh Angrezon ke kabze mein tha, Mangal Pandey jaise sipahi ne apne andar ke junoon aur himmat ko jagaya, aur ek nayi lehr ki shuruat ki. Mangal Pandey ka yeh kadam tha ek badlaav ki kahani, jo aaj bhi humari soch ko prerit karta hai. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    6 分
  • Barakpur Chhawni Ki Kranti: Ek Nayak Ki Kahani
    2025/01/27
    Is episode mein suniye Mangal Pandey ki kahani, ek aam sipahi jo 1857 ki Kranti ka pratham veer bana. Ashutosh Rana ki awaaz mein, jaaniye kaise ek bhola-sa jawan, jo bachpan mein patakhe chalane se darta tha, angrezi cartoos ke virodh mein apna shaurya dikhaya. Barakpur ki Chhawni mein Mangal Pandey ne Firangi Sergeant Major ko unki galtiyon ki saza dene ka sankalp liya aur poore desh mein azaadi ki chingari phaila di. Yeh kahani hai ek sipahi ke sangharsh aur Bharat ke itihas ke naye adhyaay ki, jo deshbhakti aur kranti ke jazba se bharpur hai. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
    続きを読む 一部表示
    6 分