-
サマリー
あらすじ・解説
Is episode mein suniye Mangal Pandey ki kahani, ek aam sipahi jo 1857 ki Kranti ka pratham veer bana. Ashutosh Rana ki awaaz mein, jaaniye kaise ek bhola-sa jawan, jo bachpan mein patakhe chalane se darta tha, angrezi cartoos ke virodh mein apna shaurya dikhaya. Barakpur ki Chhawni mein Mangal Pandey ne Firangi Sergeant Major ko unki galtiyon ki saza dene ka sankalp liya aur poore desh mein azaadi ki chingari phaila di. Yeh kahani hai ek sipahi ke sangharsh aur Bharat ke itihas ke naye adhyaay ki, jo deshbhakti aur kranti ke jazba se bharpur hai. Aisi aur kahaniyon ke liye sunte rahiye Fever Stories.
activate_buybox_copy_target_t1