-
サマリー
あらすじ・解説
Akele rehne se mat ghabrana
Yahi samay hai khud ko pehechanna
Antardhyan jub ho jaaoge
Apne aap ko tub hi paaoge
Kitni shanti kitna sukoon in raahon mein
Yeh tub hi toh jaan jaaoge.
Na koi khauf na fikra hoga
Bus usika har taraf zikra hoga
Duniya ki moh-maya se hut kar
Bahut kuch hai oos duniya ke andar
Is duniya mein bejhijhak chale aaow
Mushkilon se phir nijaad paaow.
Mehfooz ho chahe duniya saari
Nahi hogi sirf duniyadaari
Heere–moti ki hawas na hogi
Roti–paani se zindagi basar hogi
Bharenge hum bus uska dum
Chahe sub kahein humein malang.
Pyaar mohabbat beinteha bategi
Ek hi se bus taar judegi
Log chahe kahein deewana
Par ab kaheka pachtaana
Judh jaaye jub us se preet
Toh har taraf hai apni jeet.
Har saans usi ke naam se hogi
Usi ki tareef zuban pe hogi
Anhad naad goonjege yoohin
Har taraf bus tuhi tuhi.