エピソード

  • Confession of Death | Gay Murder Case
    2025/02/05
    Yeh kahani hai 1980 ke daur ki, jab same-gender love ka naam lena toh door, uske hone ka ehsaas tak samaaj mein gayab tha. Jab pyaar ka matlab sirf mard aur aurat ke rishton tak seemit tha, aur jo isse alag tha, woh ya toh gunaah samjha jata ya phir mazaak ban jata. Lekin mohabbat kisi daayre mein kahan bandhti hai? Jab dil dhadakta hai, toh use na samaaj ki parwah hoti hai, na uske banaye hue qaydon ki. Magar jab yeh dhadkanein kanoon aur rivaazon se takraati hain, toh anjaam aksar dardnaak hote hain. Ek aisi hi kahani, jahan mohabbat aur pehchaan, zameen aur virasat se takra gaye. Is kahani me janiye ki kisi ki hatya sirf uski jameen ke liye hui, ya uski pehchaan mitane ke liye? Qatl ka maqsad virasat ka batwara tha, ya phir mohabbat ka gunaah? Kya samaaj ke banaye bandhanon ke aage mohabbat ko ghutne tekne padenge, ya yeh safar mukammal hoga? Kya pehchaan ki keemat khoon se chukani padegi, ya yeh ishq kisi saza ke saath amar ho jayega?
    続きを読む 一部表示
    19 分
  • Cultural Fest Bana Perfect Murder Spot
    2025/01/31
    Cultural fest – jahaan har saal students milke ek memorable event organise karte hain. Lekin iss baar yeh event sabki yaadon mein dehshat ban kar chhap gaya. Sameer, ek sincere aur innocent student, apne sapno ke saath college join karta hai. Sab kuch bahut hi achha chal raha tha, jab tak uski zindagi mein college ki most famous gang – Aman, Riya aur Vikram, nahi aaye. Yeh gang Sameer ko apne targets banane ke liye choose karti hai, aur har din usse nayi tareekon se bully karte hain. Fest ki planning chal rahi thi, aur Sameer har din apne doston ke saath us event ke liye kaam kar raha tha, par uske liye yeh fest sirf ek celebration nahi, ek damnation ban gayi thi. Jaise-jaise fest ki date paas aa rahi thi, woh gang Sameer ke saath apne hisaab se khel rahi thi – dhamkyaan, taunts, aur sabse zyada uska mental torture. Sameer har din dar ke saath college jaane lagta hai, par uske andar us gang ka khauf har din barhta hi jaa raha tha. Fest ki woh raat jo Sameer ke liye sabse important thi, uska first stage hosting, aur is baar usse bully nahi, mental trauma diya gaya. Itna dar, shayad ab uske andar woh dar hi khatam ho gaya. Uske baad shuru hua event ka woh part jo koi nahi dekhna chahta tha – ek-ek karke woh gang ke members gayab hone lage, ek ke baad ek, haadsa. Yeh Sameer karwa raha tha? Kya uske saath aur bhi log the? Aur bina kisi nishan ke gayab karne ke liye bohot planning chahiye thi. Toh kya yeh sab pre-planned tha, ya situation aise ho gayi thi? Ab sab kaise hua, uske liye suniye yeh episode.
    続きを読む 一部表示
    20 分
  • Khooni Chawal | Murder Mystery Story
    2025/01/14
    Ek gaon, ek ladka, aur ek raaz jo khoon se likha gaya. Yeh kahani hai Rajan ki, ek masoom ladke ki jiska bachpan to bilkul aam tha, lekin ek aise haadse ne uski aur uske poore gaon ki takdeer hi badal di. Ab har raat, gaon mein ek naya khoon ho raha tha. Is episode mein hum sunege ki kaise split personality disorder ne Rajan ke andar ke gussa aur darindagi ko ek naya roop diya. Aur kaise ek chhoti si masoom cheez, khoon ka sabab ban gayi. Yeh kahani hai ek ladke ki, jiska dimaag hi uski sabse badi kamzori ban gaya.
    続きを読む 一部表示
    10 分